Monday, January 10, 2011

Yeh Naa Jana Tha

"Yeh Naa Jana Tha "



Zamana Pyaar Ka Itna Hi Kam Hai Yeh Naa Jana Tha
Humara Sath Bass Do Hi Qadam Hai Yeh Naa Jana Tha
Khushi Aaghaz Tha Meri Mohabbat Ke Fasane Ka
Wafa Ne Khuwaab Dekhe The Nayi Duniya Basane Ke
Magar is Khawab Ki Tabeer Gham Hai Yeh Naa Jana Tha
Badi Rangeen Baharoun Main Jalega Ashiyaan Mera
Lutega istarah Manzil Pe Aake Kaarwan Mera
Mujhe Teri Mohabbat Ki Qasam Hai Yeh Na Jana Tha

Er. Himanshu Mishra 

No comments:

Post a Comment