Sunday, October 25, 2009

Agar Hum Dost Hote.....!

Agar hum dost hote to,
Karam ki inteha karte …!
Tumhen palkon pe rakhte hum,
Tumhen dill main basate hum …!
Agar tum rooth jaate to,
Tumhen kitna manate hum ….!
Jo milne tum nahi aate,
To aa kar khud tumhain milte …!
Tumhari laghzishon ko bhi,
Hansi main hum udaa dete …!
Agr apni khata hoti,
To khud ko bhi saza dete …!
Magar ye sab jabhi hota,
Aagar hum dost hote to ….!
Magar itna hee jana hai,
Ke tum ne aaj tak humko,
Paraya keh ke jana hai,
Kabhi hamdam na mana hai.
Agr hum dost hote to…..!

unko ye shikayat hai.........

Main bewafai par nahi likhta.
Aur mai sochta hoon ki maiUnki ruswai par nahi likhta.
Khud Apne se zyada bura,
Is Zamane mai kaun hai.
MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.
Kuch to aadat se majboor hai
Aur kuch fitraton ki pasand hai
Zakham kitne bhi gahre ho
Main unki duhai par nahi likhta
Duniya ka kya hai,
Har haal mai ilzaam lagati hai.
Varna kya baat ki
Mai apni safai par nahi likhta
Shan-e-Amiron par karu kuch arz,
Magar ek rukawat hai Mere usool ke,
Main gunahon ki kamai par nahi likhta
Uski taqat ka nasha ,
mantra aur kalme” mai barabar hai.Mere dosto,
Main mazhab ki ladai par nahi likhta.
samundar ko parkhne ka,
Mera nazariya hi alag hai yaaro.
Mizazon par likhta hoon,
Main uski gahrai par nahi likhta.
Paraye dard ko mai gazlon mai,
Mahsoos karta hoon.
Yeh sach hai mai ,sazar se fal” ki judai par nahi likhta.
Tazurba teri muhabbat ka,
Na likhne ki bajah bas ye hai..
Ki Shayar ishq mai,Khud apni tabahi par nahi likhta

kabhi AANSHU kabhi KHUSHBOO............

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh ke Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Wednesday, October 14, 2009

Unke pyar ne hame......

Unke pyar ne hame iss kadar diwana bana diyaKhud ko bhul gaya,
mujhe khud se begana bana diya
Jab se wo chale gaye hamse juda hokar
Dekhne ki hasrat rah gayi,
mujhe aisa aaina bana diya
Najar nahi aata iss gam ke dhue main kuchh bhi
Tadap gaya raushni ke liye mujhe aisa parwana bana diya
Log kahte hain dard kam hota hai sharab pine se
Jaha dard hi dard hai mere jivan ko aisa sharab khana bana diya
Manjil hai kaha hame kya pata
Har cheej se bekhabar mujhe ‘Anjana’ Bana diya.

Pyar karna Hi chor diya.......

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangen kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya

Apni Palko Pe Meri Tasveer Saza Ke Rakhna....

Apni Palko pe meri tasvir ko saja ke rakhna
Apne dil main meri shamma ko jala ke rakhna
Agar bujh jaye to ho jaye na andhere kahi
Isiliye meri amanat ko thoda bacha ke rakhna
Meri muhabbat ka na ho jaye pardafash kahi
Apni masum khatao ko thoda chhupa ke rakhna
Kho na jau dekhkar teri aankho ke hajaro sapne
Apni rangin nigaho ko thoda jhuka ke rakhna
Rah na jaye ham dono ke arman banki
Khuda ke samne apne daman ko faila ke rakhna
Agar mar bhi jaye ‘Himanshu' milne se pahle kahi
Apni musar rat bhari aankho ko na bhiga ke rakhna.

Najaron ka Dokha......

Aaj unhe dekha,
jinhe dil se nikalna chaha..
Taaza hui bohut si yadein,
jinhe dil bhulana chaha !
Dost kehna tha jise,
dil uneh aashique bana baitah..
prem mitana tha jahan,
dil phir unse prem kar baitah !!
Ye kaisi kashish hai unki ankhon mein..
ye kaisi tadap hai meri sanson mein !
Zindagi ek pal mein simat gayi,
jab nazaron ne unhe dekha..
Pyar phir se ho gaya,
jab unki nazar ne hamko dekha..!!

Koi.......

Dua Nahi Tu Gila Deta Koi
Meri Wafaon Ka Sila Deta Koi
Jab Muquddar Hi Nahi Tha Apna
Deta Bhi Tu Kya Deta Koi
Hasil_e_Ishq Faqat Dard Hai
Ae Kash Pehle Hi Bata Deta Koi
Taqder Mein Tha Agar Asman Chona
Khaak Mein Hi Mila Deta Koi
Guman Hi Ho Jata Kisi Apne Ka
Daman Hi Pakar Ke Hila Deta Koi
Ek Arse Se Atka Hai Hichkiyon Pe Dum
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi
Ye Zindagi Tu Ro Ro Ke Kat Gayi
Kya Hota Agar Hansa Deta Koi …

Kya tum bhi?????????

Kya Tum Bhi ??
Sham Ki Dehleez Pay Aash Ka Diya Jalatay Ho
Aur Kisi Berg-E-Awara Ki Aahat Per
Derwazay Ki Janib Bhaghay Jatay Ho
Kya Tum Bhi??
Derd Chupanay Ki Koshish Kertay Kertay
Akser Thak Say Jatay Ho
Aur Bin Karun Muskatay HoKia Tum Bhi??
Neend Say Pehlay Palkoon Per
Dhairoon Khawab Sajatay HoYa Pher!!!
Bykhawab Jazeeroon Mae
Rootay Rootay So Jatay Ho
Kya Tum Bhi??

Shayari

Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai,
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai.
Na neend aayi na Khwaab koi,
Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai.
………… ……… ……… ……… ……..
her shabah meri taza azaab main guzri.
tumharey bad tumharey hi khuwab main guzri.
main phool hoon wo mujey rakh kar bhool gaya,
tamam umra us ki kitaab main guzri
.………… ……… ……… ……… ……..
Aap to manzil ko mushkil samajte hain,
hum aap ko manzil samajte he,
bada fark he apke or hamare nazariye me
aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hai
.………… ……… ……… ……… ……..
Rishta Dosti Ka Kisi aur Rishte Se Kam Nai
Mile Agar Acha Dost To Kisi Baat Ka Ghum Nahi
Dosti Mai Pyar Hota Kabi Kam Nahi
Is Liye Tum Bin Hum,
Hum Bin Tum Nahi

Rung.......

Silsila Yun Hume Jine Ka Sikhate Rahe

Beech Kantoun Me Rehke Bhi Hum Muskurate Rahe

Ajeeb Rang Me Dhalta Raha Humara Wajood

Ajeeb Rang Ye Zamana Dikhata Raha

Bade Quloos Se Apne Fareb Dete Rahe

Bade Quloos Se Hum Fareb Khate Rahe

Subha Ke Rung Me Shamil Hai Khoon Ki Surkhi

Zameen Ke Log Toh Rung-E-Hina Lagate Rahe

Zamane Me Tairagi Jab Hadd Se Badh Gayi

Hum Apne Khoon Se Chiraag-E-Dil Jalate Rahe

Friday, October 9, 2009

Kyu hum Se Khafa Ho TUm..........

Kyun Hum Se Khafa Ho Tum,
Kyun Bhool Gaye Humko,
Rishta To Purana Tha,
Ik Yeh Bhi Zamana Hai,
Ik Woh Bhi Zamana Tha,
Rangeen Fizayen Thin,
Aur Shokh Adayen Thin,
Jazbon Pe Jawani Thi,
Mosam Bhi Suhana Tha,
Seenay Se Lagaya Tha,
Ankhon Pe Bithaya Tha,
Maloom Na Tha,
Tumne Yun Choor K Jana Tha,
Kyun Hum Se Khafa Ho Tum,
Kyun Hum Se Juda Ho Tum,
Kia Jurm Hua Humse,
Itna Toh Batana Tha,
Kyun Bhool Gaye Humko,
Rishta toh Purana Thaa……!!

Wednesday, October 7, 2009

Dekha.....

Dil peh aise bhi azaabon ko utarte dekhaHumne chup chap use khud se bichhadte dekhaUsko socha to har ek soch mein khushboo utriUsko likha to har ek lafz mehakte dekhaYaad aa jaye to qaboo nahi rehta dil par meraWarna duniya ne na kabhi humko tadapte dekhaTeri surat ko faqat aankh nahi tarsi haiRaaston ko bhi teri yaad mein rote dekhaHum mohabbat ke liye aaj bhi deewane hainYeh alag baat hai ke tumne nahin mur kar dekha …

Two Line shayaries

Bijliiyaan aksar vo giraate raheAashiyaane hum bhi banaate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Kitni mujhko aap se umeede thiKitnaa aap mujh ko rulaate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Dekhta raha main ek phool koKhayaal mujhko aapke aate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Aapke dil ko Khuda humne kahaAap mere dil ko dukhaate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Kaati is tarah se humne zindagiDiye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Hum bhi sun ke an-suni karte raheSamjhaane waale humko samjhaate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Dil gawaya barson pehle ishq meinJaan se bhi aaj hum jaate rahe
- – - – - – - – - – - – - – - –
Duniya deewana kahegiYuh hi agar share hum sunaate rahe…

Hindi shayari

Aaj arse baad jab suni uski awaaz,toh laga ki mere bahut pass hai woh.Ho gayi nam yeh aankhen jab hosh aaya,aur paya ki kabhi naa puri hone wali aas hai woh.………… ……… ………Dur nighaon se bar bar jaya na karoDil ko iss kadar tadpaya na karotum bin ek pal bhi jee na sakenge humyeh ehsas bar bar dilaya na karo………… ……… ………Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahiha magar dil ki sunai deti koi aahat nahisuna suna sa hai, berang hai bazaar-e-zindagi,kya nazaraa hai ki ab maut ko bhi meri chahat nahi………… ……… ………Ye dil na jane kya kar baitha,Pooche bina hi mujhse faisla kar baitha,Is zameen par toota sitara tak nahi girta,Aur ye paagal dil chaand se pyaar kar baitha…———— ——— ———Hum hawa ke jhonke hain guzar jayengeKhamoshi se tumhare Dil mein uttar jayangePaake tumhari dosti ye hua EhsaasTumse Bichad Kar Hum Mar jayenge———— ——— ———DIL KO KITNA SAMBHALA KI E DIL ABHIRUK JA WO ABHI YAHAA AAYENGEHAME KYA PATA THA KI WO AATE HIJANE KA BAHANA BANAYENGE…———— ——— ———Na Milne Ki Khushi,Na Judai Ka Gam,Na Udas Na Tanha Hai Hum,Kaise Kahe Kaise Hai Hum,Bas Itna Samajh Lijiye,Aapke Bina Bahut Akele Hai Hum!!!———— ——— ———Koi Gila Na Koi Shikwa Raha Aapse,Ye Aarzoo Hai Ek Silsila Bana Rahe Aapse,Bus Ek Umeed Hai Aapse,Khafa Na Hona Agar Hum Khafa Rahe Aapse!!

Ek Diya Jala dena Yarrrrrrrrrrooooooonnnnn........

ek tamanna ki tulsi par,ek rasmon ki rangoli par,ek apnepan ke angan pe,ek kaydon ki doli par,
khawab dekhti khirki par ek,khulle khayalon ki chaat par bhi,ek sabr ki sidi upar,ek chahat ki chakhoti par bhi,
ek tajurbe ke tehkhane main,ek laj ki bari main bhi,ek dosti ki dyori par,ek kismat ki kyari main bhi,
ek mohabbat pe kuan par,nok jhok ki nukkar par bhi,ek bharose ke darakht par,chaturai ki chopar par bhi,
ek kona ho jaye roshan,diya jala dena mere mann!i bari main bhi,ek dosti ki dyori par,ek kismat ki kyari main bhi,
ek mohabbat pe kuan par,nok jhok ki nukkar par bhi,ek bharose ke darakht par,chaturai ki chopar par bhi,
ek kona ho jaye roshan,diya jala dena mere mann!

Disha ....... Maut ke Baad

sone jaa rahe the hum maut ke baho meinchand saanse aaye hamein jagane le liyeiskadar nashe mein khoye huye the humiltaza kiya unhe chale jaane ke liye
raat kali nazar aaye hamein,palke band ho jane ke baadyakeen tha hamein rausni mein na aayenge kabhi
rooh kehene laga humse,chhod kar zishm hamaranaye chehre mein hi sahi par aa jayenge kabhi
sukun se dam nikla soch kar yehibagair hamare waqt theheregi nahinaaj hum nahin hain to naa sahikal phir nazar aa jayenge kahin
aaj maut naseeb hui hai, kal phir gale lagayegiwohi purana rooh hamara, roop badalti jayegiwohi purana rooh hamara, roop badalti jayegi

SMS

Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi
Rishtonki Haqiqath koi kya samjhega.Dilon ki zaroorath koi kya samjhega,Unki muskurahat hai toh zindagi hai Hamari,Uss muskurahat ki keemat koi kya samjhega.
Wo ankhon me ashq liye baite hai,Hum bhi unki pyar me pagal huye baite hai,Hum toh jaan dene ko bhi tayyar hai,Magar woh hamari jaan bankar baite hai.
Har Subhah Teri Muskarati Rahe,Har Shyam teri Gungunati Rahe,DOST tu Jise se bhi Mile,Her Milane walo Ko Teri Yaad Aati Rahe..
Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Gaye,Mile To Mulakat Ban Gaye,Bichhre To Yaad Ban Gaye,Aur Jo Dil Se Na Gaye,Wo AAP Ban Gaye.
Aap khubsurat hain itne,ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,hum nacheez to kahan kisi ke kaabil,aur aapka to khuda bhi diwana hai.
Is DiL Mein Aa Saka Na Koi,Is DiL Ko Chura Saka Na Koi,Kasoor Is Mein Kisi Ka Nahi,Aap Jaisi Jagah DiL Mein Bana Saka Na Koi..
Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Gaye,Mile To Mulakat Ban Gaye,Bichhre To Yaad Ban Gaye,Aur Jo Dil Se Na Gaye,Wo AAP Ban Gaye.
Aap khubsurat hain itne,ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,hum nacheez to kahan kisi ke kaabil,aur aapka to khuda bhi diwana hai.
Is DiL Mein Aa Saka Na Koi,Is DiL Ko Chura Saka Na Koi,Kasoor Is Mein Kisi Ka Nahi,Aap Jaisi Jagah DiL Mein Bana Saka Na Koi..
Dur nighaon se bar bar jaya na karoDil ko iss kadar tadpaya na karotum bin ek pal bhi jee na sakenge humyeh ehsas bar bar dilaya na karo
Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahiha magar dil ki sunai deti koi aahat nahisuna suna sa hai, berang hai bazaar-e-zindagi,kya nazaraa hai ki ab maut ko bhi meri chahat nahi
Ye dil na jane kya kar baitha,Pooche bina hi mujhse faisla kar baitha,Is zameen par toota sitara tak nahi girta,Aur ye paagal dil chaand se pyaar kar baitha…

Dua Hum Karenge........

Zindagi sab ki sanwar jaye Dua Hum KarengeAaqirat Sab Ki Nikhar Jaye Dua Hum KarengeYun Toh Haiwaan Bhi Jee Lete Hain Duniya MeRabb Ka Hojaye Karam Humpe Dua Hum KarengeDuniya Ki Hirs-Wo-Hawas Bhaag Doud Sab BesudhMout Ke Baad Ki Sab Sonchein Dua KarengeAadmi Banke Guzara Toh Bohut Aasan HaiSaare Insaan Bane Phir Se Dua Hum KarengeKhouf-E-Qudrat Ho Ujagar Diloun Me Phir Se Sab KeSab Chalein Rahh Pe Seedhi.. Yeh Dua Hum Karenge…..