Friday, June 18, 2010

Dil ki dharkan to Ruk Jati he.
Muskurate chehro par dukh lati he.
Ai mohabbat tu ne dil ki dharkan se nata kyu jora.
Jis ne bhi apnaya tujhe, Duniya ne usi ka sath chora.
Dekha majnu ka hashar laila bhi ghullti rahi.
Ranjha Bhatakta raha aur heer machalti rahi.
Parwana jaan se gaya aur shama bhi jalti rahi.
Koun he jo tujhe pa saka . khushi ke naghme koi na ga saka.
Tujh par mar mite tere chahne wale.
Kaha phir muskura sake tere paas ane wale.
Tu jab aati he to cha jati he ek nasha ban kar.
Aur phir chor jati he ek saza ban kar.
Ha ye sach he ke tu miti nahi zamane me.
Magar tere chahne wale reh gaye bas afasane me.
Tere chahne wale har ashiq ka tu ne dil tora.
Ai mohabbat tu ne dil ki dharkan se nata kyu jora.
Jis ne apnaya tujhe , duniya ne usi ka sath chora.

Mohabbat hun....

Main baarish ki barasti boond nahee Jo baras ker tham jaati hai.
Main khwab nahi Jisey dekha aur bhula diya.
Main shama nahee Jisey phoonka aur bujha diya.
Main hawa ka jhonka nahee Jo aaya aur guzar gaya.
Main chand bhi nahee Jo raat k baad dhal jaye.
Main to woh ahsaas hoon Jo tujh main lahoo ban ker gardish kare.
Main to woh rang hoon Jo tere dil pe chhaye to kabhi na mite.
Main woh geet hoon Jo tere labon se juda na hoga.
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah. Chand,boond,shama ki tarah Mere mitne ka sawaal hi nahi.. Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HOON Aur Mohabbat Ko koi Nahi mita sakta....
wo thi, wo hai, or hamesha rahegi...har ek ke dil main dhadkan bankar.............

Ye Log

Jisko Bhulne Ki Koshish Karte Hai Hum Yaad Usiki Dilate Hai Yahi Log..
Aik To Kehte Hai Kee Muskuraate Raho, Phir Jikar Uska Ched Kar Rulaate Hai Yahi Log..
Pehle To Kaha Mujhse Kee Yeh Rasta Thik Hai, Hum Chale To Har Kadam Pe Undliya Uthate Hai Yahi Log..
Khade Rahe Zindgi Pe Yahi Soochte Hain Ab Hum, Kyu Apni Hi Kahi Baat Se Mukar Jate Hai Yehi Log..
Yun To Kehne Ko Har Kadam Pe Mere Sath Hai Yeh, Par Waqt Aane Pe Tamashe Ban Jate Hai Yehi Log…….