Wednesday, January 12, 2011

Dost


Doston se door hona majboori hoti hai,

Sapno ko apna banana tassali hoti hai.

Konsi hasarat hai jo sapno se puri hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Tu nahi janta e dost tere bin hum kese jiye,

Tum bin khushi thi kam shirf gum hi gum piye.

Tumse milne ki hasarat kahan puri hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Dono ka yun ek saath khelana,

Ek pal bhi mile bina na rahna.

Dost hi dost ki kamjori hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Chot mujhe lagti to dard tujhe bhi hota,

Tere har gum ka ehsaas mujhe bhi hota.

Dost saath ho to gum se koson doori hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Bahut dino baad tu mila hai jee bhar ke dekhne de,

Kya pata kal khuda hume yun fir na milne de.

Tere bina jindagi kahan poori hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Dost ke bina to har khushi adhuri hoti hai.

No comments:

Post a Comment