Monday, October 18, 2010

Itne bure nahi ha hum jitna samajh liya hai,
yunhi rulana tha agar to kyo hume dil diya hai,
kya bura kiya tha mene tujhse dil mila ke,
barbad mujhko kar diya jhooti kasam khila ke.

milne aa jao...

Tamanna phir machal jaye agar tum milne aa jao,
ye mausam hi badal jaye agar tum milne aa jao,
mujhe ye gam h mene zindagi me kuch nhi paya,
ye gam dil se nikla jaye agar tum milne aa jao,
nhi milte ho mujhse tum to sab humdard h mere,
zamana mujhse jal jaye agar tum milne aa jao,
ye dunya bhar k jhagde ghar k kisse kaam ki baatein bala har ek tal jaye agar tum milne aa jao, pyaar hai tumsai bus tum milne aa jao

Tera pyar hum nhi...

Mana teri nazar me tera pyar hum nai,
kaise kahe k tere talabgaar hum nai,
khud ko jala k khaq kar dala,mita diya,
lo ab tumhari rah me deewar hum nai,
jis ko sanwara humne tamanaao k khoon se,
gulsan me us bahar k haqdaar hum nai,
dhoka diya ha khud ko mohabbat k naam se,
kaise kahe k tere gunahgaar hum nai.

Use dur hote dekha h..

Aaj baadlon k aagos me chand ko sote dekha ha,
taaro ko bhari rat me rote dekha hai,
jise mene chaha ek muddat bitne tak,
aaj use mene kisi aur ka hote dekha hai,
jiski aarzoo me mene ek umar gawa di,
use samandar k gahraaio me khote dekha hai,
jis moti ko sambhale rakha apna muqaddar jan kar,
kisi aur ko use apne haar me pirote dekha hai...