Sunday, January 31, 2010

Bewafa Shayari

“Na chedo hame hum sataye huwe hain,
muddatoin se unko bhulaye huwe hai,
musibat mein nahi deta koi saat kisi ka,
hum is zamane ko aajmaye huwe hai”

Dur ho gaye hamare…

Dur ho gaye hamare chahne wale,
Yaad bahot aaye hume bhulne wale,
Mit gaye the hum jinki chahat mein
Wo kabhi laut ke nahi hain aane wale…

Isi umeed par

Unka waada hai ki vo laut ayenge,
Isi umeed par hum jiye jayenge,
Yeh intezaar bhi unhi ki tarah pyara hai,
Kar rahe hai or Kiye jayenge.

Wednesday, January 27, 2010

Dard Bhari Shayari....

Hum chahkar bhi tumhe pa na sake
Par tumne na chahkar bhi hume pa liya
Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai
Par tum chahkar bhi hume bhula na sake
Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake
Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye
Hum chahkar bhi pyaar nibha na sakePar tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye…

Woh roye to muh mod ke roye,
Koi mazburi hogi jo dil tod ke roye,
Mere samne tukde kar diye meri tasveer ke,
Baad mein pata chala ke unhe jod ke roye.

Unhone dekha aur aansu ghir pade,
bhari barsaat me jaise phul bhikar pade,
dukh vo nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh tho ye hai ki uske baad vo khud ro pade…

Dard to Zindagi ki sabse badi sachchai hai,
Zindagi kab bhala Dard se bach payi hai,
MaiNe socha tha dard door hai mujhe se bahut,
Har pal mili mujhe dard se ruswai hai,
Halat-e-dil kaise bataon main tumhe,
Pyar mein tere chot bahut ghadi khayi hai,
Dil ne socha tha kare gaye Mohabbat ki baatain,
Kyun pyar mein ki tune bewafai hai.

Zamane bhar ki baaton mein hamein na bhula dena,
Jab kabhi yaad aaye to zara sa muskura dena,
Zinda rahe to milenge bar-bar sanam,
Nahi to har Diwali mere naam ka diya jala dena.

Rulane se pahale ek bar hansaya to hota,
Kasoor kya hai is dil ka bataya to hota,
Mili saza us khata ki jo na ki kabhi hamne,
Kash yeh dil kabhi kahin lagaya na hota …

Hume asqo ki surat na yaad ayi…

Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
Wo nasha jism-e-haram ka wo nazuk kalayi
Wo ajeeba gareeba jisme dubi teri parshayi
Hum ko waham ye hone laga tha aye naznii
Ki kismat ne kiya kya jadu aisa ki tu aaj ayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
Tum hi tum ho nahi dusra koi in nazro me
Jaha kahi bhi rahe ye nazre tum hi samayi
Ki dehkte sare nazare inhi ankhon raushan se
Wafa nahi ye, ye hai zamane se Bewafayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
Ab na dekha karo hume yu tum itni dur se
Ki bahut bachaya khud ko nazr-e-magror se
Magar ab ye khusboo se na bach sakunga
Chali ayo ki tum ab duniya ke un fitur se
Ki teri mehek hai na humne aaj tak aajmayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayiKitni fursat me aap milne thi ayi
kya pata tha ki yaado me mai hu
Aur waha hi aapki mehek thi ayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi..

Shayad hum nahin…

Tumhare bag me jo khile wo gulab shayad hum nahin,
tumhari zindagi ki kitab shayad hum nahin,
pucho khuda se kaun hai tumhari rah ka humsafar
par is sawal ka jawab shayad hum nahin..

Mein bikhar key phir na simat saka…

Kabhi moum ban ke pighal gaya
Kabhi girte girte sambhal gaya
Wo ban ke lamhaa guzer gaye
Mere pass hi se nikal gaye
Use rokta bhi to kis tarah
Ke wo shakhs itna ajeeb tha
Kabhi tadap utha meri aah se
Kabhi ashek se na pighal saka
Sare raah mila wo ager kabhi
To nazer chura ke guzer gaya
Wo utar gaya meri ankh se
Mere dil mai kyu na utar saka
Wo chala ye sheher chhod ke
Wo waha se phir na palat saka
Wo sambhal gaya tha mager
Mein bikhar ke phir na simat saka

Dil To Karta He Mohabbat Tum Hei Sadyon Se Sanam…

Dil to karta hai mohabbat tumhe sadiyon se sanam
Aaj izhaar-e-mohabbat hai to hairat kyun hai
Jab se is dil ne dhadhakna sikha sirf tera hai sanam
Aaj dhadhkan dil-e-betab sunai to hairat kyu hai
Sari dunia hame diwana samjhti hai sanam
Naam jab aap ka aaya to hairat kyu hai
Kab se ham ne dil-e-betab sambhala tha sanam
Aaj kaabu me nhi hai mere jazbat to hairat kyu hai
Sari dunia se nirala hai mera ishq sanam
Aaj deta hun tujhe jan to hairat kyu hai
Tum mere ho ya mere nahi O Sanam
Meri har sans hai teri tumhe hairat kun hai
Tum bhi karne lagoge pyar mujhe meri tarha
Rab se mangi hai dua mene to hairat kyun hai
Tum raho dur ya mere paas sanam
Meri har sans me meri ruh me tum ho hairat kyu hai…

Teri aahat par dard saa hai….

Teri aahat par dard saa hai,
koi gam mera ham dard saa hai,
baat jo bhi ho teri-meri
is jahan me koi apnaa saa hai,
door aur paas kya kisi se aas kya
sab to ek pal ka sapnaa saa hai,
koi nahi hota dard me kisi ka
apnaa kaha kar bharam aur
dhokhaa sa hai….

Pathar se wafa, butt se sada….

Pathar se wafa, butt se sada maang raha hoon,
Kyu aaj main sehra se ghata maang raha hoon,
Mudat se koi dil ko dukhane nahi aaya,
Aa jao koi zakham naya maang raha hoon….

Mohobbat ne hum per yeh ilzaam ….

Mohobbat ne hum per yeh ilzaam lagaya hai,
Wafa kar k bhi bewafa ka naam paya hai.
Rahain alag nahi thin hamari phir bhi,
Hum ne alag alag manzil ko paya hai….

Dil ke Dard ko Lafzon mai dhala na gaya….

Dil ke Dard ko Lafzon mai dhala na gaya
Ghum ke Ansuon ko Aankho se nikala na gaya
Usne Mujhe Dard is liye diya
Kyun keUsse Mera Pyar Sambhala na gaya…

Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah..

Haasi Thami Hai In Aankhon Mein Nami Ki Tarah
Mehakti Thi Jo Gulshan Mein Kali Ki Tarah
Yun Toh Koi Aata Nahi Iss Viraan Chaman Mein
Yeh Kiski Parchai Hai Kuch Meri Hi Tarah
Yun Toh Dard Ka Rishta Bahot Gehra Hai
Par Yaadein Bhi Ek Kadwa Sach Hai Zindagi Ki Tarah
Woh Aaya Aur Chala Gaya Sab Kuch Lekar
Lipti Reh Gayi Rooh Badan Par Ajnabi Ki Tarah
Kise Dhundti Hai Iss Duniya-e-Dast Mein Tanha Nazar
Koi Saathi Ho Mera Bhi Iss Khamoshi Ki Tarah….

Agar sabko mil jata apna humdum....

Agar Sabko Mil Jaata Apna Humdum
Toh Yeh Ulfat Na Itne Uche Makam Hoti
Na Hota Zikr Aashiqon Ka Sadiyon
Mohabbat Fir Cheez Badi Hi Aam Hoti…

Toot Jaate hain Sabhi Riste Magar....

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah…
————————
Dil Ki Deewar-o-Dar Pe Kya Dekha
Bas Tumhara Naam Hi Likha Dekha
Tumhari Aankhon Mein Humne Kya Dekha
Kabhi Qatil Kabhi Khuda Dekha
————————

Ab Na JAa.....

Is Dil Ki Daastan Bhi Badi Ajeeb Hoti Hai,
Badi Muskil Se Ise Khushi Naseeb Hoti Hai.
Kisi Ke Paas Aane Par Khushi Ho Na Ho,
Par Door Jane Par Badi Takleef Hoti Hai.

Taqaleef NA Hoti.....


Paas Na Aaye Hote, To Door Jane Me Takleef Na Hoti.

Zuban Hi Na Hoti To, Chup Rah Jane Me Takllef Na Hoti.

Jude Hain Is Duniya Ke Kuchh Aur Log Bhi Humse,

Akele Hote To Is Duniya Se Chale Jaane Me Takleef Na Hoti.

Monday, January 18, 2010

Tumse piya pyaar humne...

Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui
Apne hatho jahar khaya, bhul ye mujhse hui
Jan ke dushman ko ham jane ja kahte hain
Apna jan mal sab kuchh lutaya bhul ye mujhse hui
Teri har bat ka aitbar hamne kiya
Tune hi mere dile aashna ka khun kiya
Tere hi liye main jahan se takraya, bhul ye mujhse hui
Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai
Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah rahti hai
Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui
Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat
Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar
Uss Khuda ko chhod kar “Himanshu”
Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui.

Mulakaat bhi kabhi....

Mulaqat bhi kabhi aasu de jati hai,
Nazre bhi kabhi dhoka de jati hai,
Guzre huye lamho ko yaad karke dekhiye,
Tanhayi bhi kabhi sukun de jati hai.

Aye dil kinaare ko....

Aye dil kinare ko kinara na samajh,
Aye dil sahare ko sahara na samajh,
Barish aane par kinare toot jate hain,
Musibat aane par sahare chhooth jate hain.

HAzaar Zakhm LIye......

Hajar jakham liye baitha hai
Ashake khuni piye baitha hai
Rahe ulfat main luta ke wafa
Kaja se sadme liye baitha hai
Dal ke kafan ruswa jindgi pe
Hasrato se tauba kiye baitha hai
Ho na saki darde ki dawa
Khud jakhmo ko siye baitha hai
Tadap ke bhi “HIMANSHU” tadpaya mujhe
Isiliye game duniya piye baitha hai

Dard E Judai Shayaris.. Awesome Collections…


Duwa karna yaro juda ho rahe hai,

Rahi zindagi to fir aaker milenge..

Ager mergaye to duwa karte rehna,

Aansun bahane ki koshish na karna



A duniya badi bewafa hai samajhna,

Kahin dil lagane ki koshish na karna.

Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,

Kahin thaher jane ki koshish na karna.



Danishon ki duniya hai sari,

Alfazon ka mydan hai sara.

Zer aur zaber ko pehechan na pao,

To mydan me aane ki koshish na karna.



Kashti ummidon ki ger sahil na paye,

To khud dub jane ki koshish na karna.

Kadam pe andhera karegi ye duniya,

Kahin dil jalane ki koshish na karma.



Kabhi ro ke muskuraye ,

kabhi muskura ke roye,

Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,

ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,

Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.



Akela sa mehsus karo jab tanhai me,

Yaad meri aye jab judai me,

Mehsus karna tumhare karib hu me,

Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.



Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,

Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,

Thokar bhi lagi tho us pathar se,

Jise hum apna mante the.



Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,

Tho yun humein ruswa na kiya hotha.

Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,

Bas ek baar humein samaj-liya hota



Wo roye to bahut,

par mujhse muh mod kar roye

Koi majburi hogi to dil tod kar roye

Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde

Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye



Mere khwabon mein aana aapka kasur tha

Aapse dil lagana hamara kasur tha

Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye

Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha…

Kyun is kadar mujhe chata hai koi........

Kyu is tarha se mujhe chahta hai koi
Ki jese ehasaan utarta hai koi
Ghar se bhahar nikla to tassali hui
Duniya me aaj bhi phachanta hai koi
Jab koi dard de jata hai unko
To kyu tanhaiyo me mujhe pukarta hai koi
Mohbbat or dosti kabhi jhuti na kar pya mein
Dhood se makkhi k tarah kyu mujhe nikalta hai koi
Ab kisi or ki mohbbat Kabul na kar ashiqe
Ki phir tujhe dard-e-mohbbat dena chahta hai…

Pyaar.....

Agar pyar nahi karna ho to dil ko na lagana
Apna chain kho kar khud ko na rulana
Jis dil ko pyar karna na usko tod dena
Yeh aaj ka nahi hai kissa hai purana
Ulfat me aaj dekho koi kya se kua bana hai ?
Koi ashq hai bahata koi ban gaya diwana
Kuch logo ne pyar ko aise badnam kar diya
Kyu karte ho pyar jab aata nahi nibhana
Kuch ladke ladkiyan pyar ko kyu khel hai samjhte ?
“HIMANSHU” ko bata do yeh kyu karta hai zamana…..

Dil ki awaaj se nagame badal jate hai,

Sath na de to apane badal jate hai,

Palaken jara sambal ke jhapakana,

Kyonki palaken jhapakane seAksar sapane badal jate hai…

Gazal....


Kisi Se Baat Karna Bolna Achcha Nahi LagtaTujhe Dekha Hai Jab Se Dusra Achcha Nahi Lagta
Teri Ankhon Me Jab Se Mai Ne Apna Aks Dekha HaiMere Chahre Ko Koi Aaina Achcha Nahi Lagta
Yahan Ahle Muhabbat Omr Bhar Barbad Rahte HainYe Dariya Hai Ise Kachcha Ghada Achcha Nahi Lagta
Tere Bare Me Din Bhar Sunchti Raheti Hoon LaikinTere Baare Me Sab Se Puchna Achcha Nahi Lagta
Mai Ab Chahat Ki Us Manzil Me Aa Ponchi Hon RehanaTeri Janib Kisi Ka Dekhna Achcha Nahi Lagta