Wednesday, January 19, 2011

Ek wada tha- A Heart Touching Shayari


 A Boy and a Girl loved each other. Unfortunately, the girl died…. When dying, she said..

“Ek wada tha tere har wade ke peeche,
Thu milega mujse har gali, har darwaza ke peeche.
Par thu tho ab ek bewafa nikla,
Ek thu hi nahi tha mere Janaze ke peeche”


That time the boy said..

“Ek wada tha mere har wade ke peeche,
Mai milunga tujse har gali, har darwaza ke peeche.
Par tum ne hi mudke na dekha..
Ek aur Janaza tha tere Janase ke peeche”



Halaat ki kokh se

Halaat ki kokh se
paap nikalte dekhe hain..


Halaat ki kokh se paap nikalte dekhe hain
Humne aastino se saanp nikalte dekhe hain

Aamiron ki plate me dekhi hai bharpet juthan
Garobon k pet se alaav nikalte dekhe hain

Toote dekhe hain armaan bhi muflison ke
Behti aankho se khwaab nikalte dekhe hain

Taab dekhe hain har shaam teri mehfil me
Or teri mehfil se betaab nikalte dekhe hain

Jawaab dekhe hain lakhon har ek sawaal k
Par kuch sawaal bhi lajawaab nikalte dekhe hain

Haath bhi dekhe hain kaale kajal ki kothri me
Or koyle se aaftaab nikalte dekhe hain 
   

"Aurat"



AURAT 




AURAT
********** 
Mein Kahani Kyunkar Likhou??
Mein Kahani Kis Par Likhoun??
Bezubaan Kar Di Gayi Hai Aurat !!
Sach Kahoun Ya Jhoot Likhoun...
Kache Dhagoun Par Aurat Ka Haq
Rona Roun Ya Phir Haq Likhoun ??
Binn Mout Kyun Maari Jaati Hai Aurat ???????
Koi Toh Bataye Mein Kya Likhoun ???
Kore Kagaz Pe Qalam Tikaye Sonch Raha Hoon ...
Aurat Kya Hai ???
Chalo Aaj AURAT Likhoun
AURAT Wafa Ka Paiker
AURAT Mohabbat Ki Murat
Dastan-E-Hayath Se Kyunker AURAT Qarijj Likhoun
Mein Nahi.....
Ab Khud Batayegi AURAT..
Kya Hai Woh Usse Mein Kaise Aur Kya Likhoun?????


Thanks & Best Regards
$$ Himanshu Mishra $$




~!~!~!~ऐतबार~!~!~!

क्यूँ ज़माने पे ऐतबार करूँ
अपनी आँखों को अश्कबार करूँ
सिर्फ़ ख्वाबों पे ऐतबार करूँ
दिल ये कहता है तुझसे प्यार करूँ

मेरी रग-रग में है महक तेरी
मेरे चेहरे पे है चमक तेरी
मेरी आवाज़ में खनक तेरी
ज़र्रे - ज़र्रे में है धनक तेरी

क्यूँ न मैं तुझपे दिल निसार करूँ
दिल ये कहता है तुझसे प्यार करूँ

तुझपे कुरबां करूँ हयात मेरी
तुझसे रोशन है कायनात मेरी
बिन तेरे क्या है फिर बिसात मेरी
जाने कब होगी तुझसे बात मेरी

कब तलक दिल को बेक़रार करूँ
दिल ये कहता है तुझसे प्यार करूँ

मेरी आँखों की रोशनी तू है
मेरी साँसों की ताजगी तू है
मेरी रातों की चांदनी तू है
मेरी जां तू है, ज़िन्दगी तू है

हर घड़ी तेरा इन्तिज़ार करूँ
दिल ये कहता है तुझसे प्यार करूं

तू ही उल्फ़त है, तू ही चाहत है
अब फ़क़त तेरी ही ज़रूरत है
हसरतों की ये एक हसरत है
इश्क़ से बढ़के भी इबादत है?

तुझको ख्वाबों से क्यूँ फरार करूँ
दिल ये कहता है तुझसे प्यार करूँ 
Aansoo ki ek boond hoon main

Chaho to.... Pyaas bujha lo

Chaho to.... Palkon pe saja lo

Gulshan Main khila ek Phool Hoo Main

Chaho to.... Mandir Mein Chadha Do

Chaho to.... Qabra per saja Do

Ek Masoom Si Muskhurahat hoo main

Chaho to.... Hoton pey saja lo

Chaho to....Ashq bana key Gira do

Sangeet ki ek Dhun hoo Main

Chaho to....Koi Geeton Mein Piro Lo

Chaho to.... Udassi mein Gunguna Lo

Zindagi ki Aakhiri saans hoo main

Chaho to.... issey Rok Lo

Chaho to.... Chupchaap Nikal Jaane Do !!

YAAD



Mohabbat


MOHABBAT



Ajeeb shaks hai kaisa mizaj rakhta hai
sath reh kar bhi ikhtilaf rakhta hai,


Main kyun na Daad doon us kay Hunar ki,
Mere har sawal ka pehley se jawab rakhta hai,


Wo to roshnion ka wasi hai magar,
meri andher nagri ka bara hi khayal rakhta hai,


Mohabbat to hai usay kisi aur se shayad
hum se to yun hi hansi mazak rakhta hai...... !!!!!!!!

A request from my Heart



I m not begging you to love me,

I m not really even asking you,

I m not saying come and fill my dream

But isn't it alright,

If I cherish that hope in my heart?

If I love you, from the core of my heart?

If I dream of just holding your hand,

It will hurt me - not you,

I will try to keep my eyes from shining,

When they see you,

And I Promise,

I will try not to smile a special smile,

When u say "HI" to me,

I will try not think about you,

All the way,

but, please

Don't ask me,

Not to love you......!!!

Tuesday, January 18, 2011

Falling in love - Love Poem


I'm thinking about you,

a little more each day.

Holding on a little tighter,

to all the words you say.



Every day I miss you,

more than the day before.

Our time together I love;

and I'm wanting even more.



I used to dream of you,

as I lay in bed each night.

Now you are my dreams,

even through the daylight.



I felt a flutter in my heart,

whenever I saw you online.

Today my heart is glowing;

filled with a brilliant shine.



I was shy to tell everything,

which I was feeling inside.

Now I feel so free to share,

with nothing I want to hide.



I thought you were special,

from the moment we met.

And each day a little further,

into my heart you would get.



I could always feel a bond,

everytime our hearts shared.

When our souls bonded also,

I realized how much I cared.



I find my heart needing yours;

cherishing all that you do.

Now, I'm not scared to admit,

I am falling in love with ???

Kaha...


Usne kaha…..

Ye ishq nahi aasa, Itna to samajh lejiye…

Ek Aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai ….



Maine kaha…

masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..

kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..

kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..

awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..

uss per utrne ki umeed bahut kam hai..

kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..

samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..

bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..

bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..

fir aag ka dariya hai.. aur doob hi jana hai …



Thursday, January 13, 2011

Muhobbat aur Sharab


"Devdas" ko "Paaro" ne nakam kar diya,
"Sharabi" ko "Sharab" ne badnam kar diya,
"Mahobbat" ho ya "Sharab", dono ka asar dekh lo,
"Devdas" aur "Sharabi" ka, eksa "Anjaam" kar diya

Wednesday, January 12, 2011

Jab tera dard mere sath wafa karta hai


Jab tera dard mere sath wafa karta hai,
Ek samundar meri aankho se baha karta hai,
Uski baate mujhe khusabu ki tarah lagti hain,
Phool jese koi sehara me khila karta hi.

A Smile For You

A Smile For You  



A smile for you when you are sad,

Because I love you So much, and dont want you to feel bad.

 
So whenever your lonely or just feeling glum,

Remember this poem, and smile for everyone,


Then remember my love, and never let it go,

Never forget how much I love you, Because one day you'll know,


That from the bottom of my heart you are everything to me,

And warm in your arms is where I want to be.


Dost


Doston se door hona majboori hoti hai,

Sapno ko apna banana tassali hoti hai.

Konsi hasarat hai jo sapno se puri hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Tu nahi janta e dost tere bin hum kese jiye,

Tum bin khushi thi kam shirf gum hi gum piye.

Tumse milne ki hasarat kahan puri hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Dono ka yun ek saath khelana,

Ek pal bhi mile bina na rahna.

Dost hi dost ki kamjori hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Chot mujhe lagti to dard tujhe bhi hota,

Tere har gum ka ehsaas mujhe bhi hota.

Dost saath ho to gum se koson doori hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Bahut dino baad tu mila hai jee bhar ke dekhne de,

Kya pata kal khuda hume yun fir na milne de.

Tere bina jindagi kahan poori hoti hai,

Dost na ho to har khushi adhuri hoti hai.

Dost ke bina to har khushi adhuri hoti hai.

Dhoondta Hu...



Kitaabon Mein Mere Fasaane Dhoondte Hain

Naadaan Hain Guzre Zamaane Dhoondte Hain



Jab Woh The....!! Talaash-E-Zindagi Bhi Thi

Ab To Maut Ke Thikaane Dhoondte Hain..!!



Kal Khud Hi Apni Mehfil Se Nikaala Tha..!!

Aaj Hue Se Deewaane Dhoondte Hain...!!



Musaafir Be-Khabar Hain Teri Aankhon Se

Tere Shahar Mein Maikhaane Dhoondte Hain



Tujhe Kya Pataa Ae Sitam Dhaane Waale

Hum To Rone Ke Bahaane Dhoondte Hain...!!



Unki Aankhon Ko Youn Dekho Na

Naye Teer Hain...!! Nishaane Dhoondte Hain..
 
 
 
 
"I Am The Hero Of My Own Story"

Tuesday, January 11, 2011

Itna Na Tadpao Mujeh



Itna na tadpao sanam baatee badal badal ke
aur mujh se door na jana rastee badal badal ke

Dhonda hai tum ko maine na jaane kahan kahan
Tum kabhi to nazar aao adayeen badal badal ke

Meri zindagi hai tum se kahin tum badal na jana
maine zindagi guzari hai sanam sambhal sambhal ke

Tu ne to na kiya kabhi yaad mujhe is tarha
Mai ne raatein guzari hain teri yaad mein karwat badal badal ke
Tum jo juda hoge mujhse ek din to aye sanam
Sunlo mera janaza jayega phir kaandha badal badal ke

Dewangi mein teri hum ne khud ko be-qaraar kar rakha hai
Meri zindagi se na jaana sanam kabhi irade badal badal ke

Sochte hain Nazz hum ki ab bhool jayein use
Kyoun ki wo rehta hai ab Aashiyana badal badal ke