Aourat ka samman karo mat iska apmaan karo
Ma banke pyar ye deti waise tum bhi pyar karo
Kabhi to yah beti banti kabhi bahen ban jati hai
Kabhi to yah beti banti kabhi bahen ban jati hai
Maa banke duniya me yeh kitne farz nibhati hai
Ghar ko aourat swarg banati khusiyon se sajati hai
Ghar ko aourat swarg banati khusiyon se sajati hai
Ghar ki aan maan ki khatir har dukh sah jati hai
Jaan ko apni de deti hai izzat nahi ghavarati hai
Jaan ko apni de deti hai izzat nahi ghavarati hai
Kabhi sati banke aourat lapto me jal jati hai
Har dukh haskar sahti himmat nahi harti hai
Har dukh haskar sahti himmat nahi harti hai
Jisko dil se pyar yeh karti uss par jaan barti hai
Aourat wo phool kamal hai duniya ko mahkati hai
Aourat wo phool kamal hai duniya ko mahkati hai
Pyar ke yeh deep jala kar jag roshan kar jati hai
Ab socho aourat sachhi ya sachhi yeh duniya hai
Ab socho aourat sachhi ya sachhi yeh duniya hai
“HIMANSHU” kahta aourat sab kuch aourat se hi duniya hai.
No comments:
Post a Comment