Aap aatey hain to milney se khushi hoti hai
He kya cheez mohabbat ki ghadi hoti hai
Dil jo duniyan se utha to mila khud ka pata
Bekhudi me bhi nehan rasm-e-khudi hoti hai
Manzil-e-ishq ki asaaniyan ALLAH ALLAH
Sahel samjho jisey dushwaar wohi hoti hai
Main jo hansta hoon to koi nahi hansne wala
Aur rota hoon to duniyan ko khushi hoti hai
Ishq me hosh udaye jab to samajh me aaaya
Zamin-e-hosh yehi bekhabri hoti hai
Lakh dil us se lagao bhi to hota kya hai?
Dost kis ki bhala duniya-e-dani hoti hai
Ham ko shamsheer-o-silasil se darane walo!
Kahin aese bhi mohabbat me kami hoti hai?
Kya maze aate hain phir sham-e-tamanna serwer
Main idhar aur udhar ashifta sari hoti hai…
No comments:
Post a Comment