Zindagi ke gam nasoor ban jaaye,
To muskurata hai kaun,
Jab dil me lage aag to,
Ise bujhata hai kaun.
Ishq ki chot ka kuch,
Dil par asar ho to sahi,
Dard kam ho ya jyada,
Magar ho to sahi.
Hame hi thi na koi baat,
Yaad na tumko aa sake,
Tune hame bhula diya magar,
Ham na tumhe bhula sake.
Aao ham tum o sanam,
Milkar ye vaada kare,
Tum mere dil me raho,
Mein tere dil me rahu.
Gam mila hai jo mujhe dil lagaane se,
Kya kahu mein is jamaane se,
Yaad aata hai jab vo pyaar ka vaada,
Ab mere hoth jalte hai muskurane se.
Zindagi ki raaho me yaaro,
Ranjogam ke mele hai,
Bheed hai kayamat ki aur,
Yaha ham akele hai.
Mil jaaye mujhe sukoon thoda,
Ek baar seene pe haath rakh de,
Tute hue dil ke tukde ko,
Tu jara ek saath rakh de.
Kisi kavi ki kalpna ho tum,
Khud ko bhool gaya vo nasha ho tum,
Ab hosh me aa jaau to behtar hai,
Sapna hi sahi magar apna ho tum.
Dil se nikali hai dua aajam sanam tere liye,
Tera gam mera sanam meri khushi ke liye,
Saans patjhad tere jeewan ka mujhe mil jaaye,
Teri har aarzoo maninde kali khil jaaye,
Tere ashko ka samundar meri aakhon ko mile,
Mere hotho ki ho saari hasi tere liye.
Mein to pahle aisa likhta nahi tha,
Dil me tha jakhm par dukhta nahi tha,
Mujhe jhukaya kisi ki bewafaai ne,
Varna kisi ke aage mein jhukta nahi tha.
Tere hotho se saawan barasta raha,
Jaam peene ko bhi mein tarasta raha,
Laal gaalon me laali umadti rahi,
Pyaar sarita me,
Mein dubta rah gaya.
Aisa nahi tumhe tanha chodenge ham,
Yuhi nahi zindagi se rishta todenge ham,
Ab maut bhi na juda kar paayegi hame,
Jaha teri saanse khatam vaha apni saanse todenge ham.
Aap bante sawarte bahut hai,
isliye log marte bahut hai,
Dosti hai hawaao se aapki,
phir bhi aansu bikharte bahut hai,
Chaand si jinki soorat hai,
husna par naaj karte bahut hai,
Jikra hota jinme aapka,
log aisi baate karte bahut hai.
Surkh hoth tapta badan in reshmi baalo se,
Rahna jara bach ke doston tum aise husna vaalo se,
Jab-jab adaao ke roop yu badalte hai,
Tab-tab hamaare ye armaan machalte hai.
Jaise tel ki jarurat hoti hai,
Chiraag jalaane ke liye,
Vaise pyaar bhi jaruri hai,
Zindagi chalaane ke liye.
Koi bhi deewana dil,
Ho jaayega bekaabu,
Dekhakar tumhaare in aakhon ka jaadu,
Hawaao me nahi kisi fizaao me nahi,
Jo tum me hai ada kisi adaao me nahi.
Na sir jhukakar padhana tum,
Na sir uthaakar padhana,
Meri is shaayari ko tum,
Seene se lagakar padhana.
Pahale inkaar phir ikaraar,
Aur ab pyaar ho gaya,
Jinako ham taraste the,
Unaka deedaar ho gaya.
Kab tak mein jeeu teri yaadon ke sahaare,
Ab nahi bas me kadam ye hamaare,
Subah ho ya shaam har pal ye dil,
Bas tera naam le-lekar pukaare.
Chaand ne chamakna chod diya,
Phulo ne mahakna chod diya,
Ruth gai chaman se bahaare bhi dekho,
Jab se tumane baagon me tahalna chod diya.
Phulon jaisa phulo tum aur,
Jhulon jaisa jhulo tum,
Magar yahi tamanna apni,
Mujhko nahi bhulo tum.
Aasmaan me jitane taare hai,
Koi gin nahi sakta,
Tum ab hamaari ho hamase,
Koi tumhe cheen nahi sakta.
Ham teri yaadon ko dil Ki dahleez par sajaayenge,
Agar dard bhi mile to Use sahkar muskaraayenge.
Shaayri padhkar jala dena tum,
Jalaakar raakh bana lena,
Jab hamaari yaad aaye tumhe,
Kaajal banakar laga dena.
Kabhi mujhko hasaati hai,
Kabhi mujhko roolaati hai,
Harpal mujhe ek ladki,
Yaaro bahut sataati hai.
No comments:
Post a Comment