Itna na tadpao sanam baatee badal badal ke
aur mujh se door na jana rastee badal badal ke
Dhonda hai tum ko maine na jaane kahan kahan
Tum kabhi to nazar aao adayeen badal badal ke
Meri zindagi hai tum se kahin tum badal na jana
maine zindagi guzari hai sanam sambhal sambhal ke
Tu ne to na kiya kabhi yaad mujhe is tarha
Mai ne raatein guzari hain teri yaad mein karwat badal badal ke
Tum jo juda hoge mujhse ek din to aye sanam
Sunlo mera janaza jayega phir kaandha badal badal ke
Dewangi mein teri hum ne khud ko be-qaraar kar rakha hai
Meri zindagi se na jaana sanam kabhi irade badal badal ke
Sochte hain Nazz hum ki ab bhool jayein use
Kyoun ki wo rehta hai ab Aashiyana badal badal ke
No comments:
Post a Comment