Dil ki dharkan to Ruk Jati he.
Muskurate chehro par dukh lati he.
Ai mohabbat tu ne dil ki dharkan se nata kyu jora.
Jis ne bhi apnaya tujhe, Duniya ne usi ka sath chora.
Dekha majnu ka hashar laila bhi ghullti rahi.
Ranjha Bhatakta raha aur heer machalti rahi.
Parwana jaan se gaya aur shama bhi jalti rahi.
Koun he jo tujhe pa saka . khushi ke naghme koi na ga saka.
Tujh par mar mite tere chahne wale.
Kaha phir muskura sake tere paas ane wale.
Tu jab aati he to cha jati he ek nasha ban kar.
Aur phir chor jati he ek saza ban kar.
Ha ye sach he ke tu miti nahi zamane me.
Magar tere chahne wale reh gaye bas afasane me.
Tere chahne wale har ashiq ka tu ne dil tora.
Ai mohabbat tu ne dil ki dharkan se nata kyu jora.
Jis ne apnaya tujhe , duniya ne usi ka sath chora.
No comments:
Post a Comment