Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh ke Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
No comments:
Post a Comment