Thursday, July 23, 2009

saayar

hun to akele me bethe wo shayar hain,
jo apne hi khyalo ko samete betha hai,
hum kya kisi ko shayari denge,
jo khud shayari ban betha hain.

kese kahein...

na kisi se yaari ki khushi,
na kisi se dushmani ka guh,
zindagi ke haathon lutate chale gaye pasheman gum,
hum to aashiq hain yaaron hum kis ki parwaah karen,
hum to to khud kisi ke na ho sake,]
apna hum kisi ko kese kahe.

Yaad ki Shaam..

gum ke andheron me khoye jaate hain hum,
na unko bhul paate hain na, na khud ko yaad kar paate hain hum,
bas ro lete hain beth kar akele,
bas yaad ki shaam me dhal jaate hain hum.

Tuesday, July 21, 2009

shikayat

Hume sikayat nahi jamane se
bas heraan hun iske riwaazo se
ek se ek mukhtalik khyal aate hain
yaha pyaar ko thukaraya jaata hai hai
aur pathar pooje jaate hain.

Ek shakhs

hai ek shaks aisa ,
Jo yaad hume aata hai,
dil-e-aarju or tamanna ko jagata hai
nahi hahate hain yaad karna use
lekin kambakht is dil ke haaton haar jaate hain.

Arthi.......

Aayegi wo shuhani raat,
Meri arthi ke sath jaayegi teri har baat,
Jab uthe arthi meri to nazare jhuka lena,
Jab main na rahun is duniya me,
To kisi or se dil laga dena.

Kaabil......

Ye aashik unke shayad kaabil na tha,
Is aashik me shayad wo dil na tha,
Ye pagal bhi pari se pyar kar betha,
Jo kabhi use haasil natha.

Aapka hai.....

Dil ke har kone me naam aapka hai,
Ye dil fida hai itna aap par ki gulaam aapka hai,
In hoto se nikle jo har pal wo naam aapka hai,
Jo mili hai pal bhar ki zindagi hame aapke liye,
Jo hamari dhadakano me rahane wala har shakhs mahmaan aapka hai.

Monday, July 20, 2009

Chehare pe Khushi Hai to Kya hua

Chehre Pe Khushi Hai Toh Kya HuaDil Me Sab Se Chupa Kar Dard Jo Muskura DiyeUski Hansi Ne Toh Aaj Mujhe Rula DiyaLehje Se Uth Rahi Thi Ek Dard Ka DhuwaaChehre Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa DiyaAawaz Me Tehrao Tha Aankhoun Me Nami ThiAur Keh Rahi Thi Ki Mein Ne Sab Kuch Bhula DiyaJaane Kyun Usko Logoun Se Thi ShikayateinTanhaiyoun Ke Des Me Qud Ko Basaa Diya.

Meri Zindagi Meri Zindagani

Tu meri Zindagi ka hissa nahi Meri Zindagani haiMai jise dohra na saku tu woh kahani haiMeri waffa aur meri chahat ka koi hisaab nahiTu mere pyar aur waffa ki akeli nishani haiMujhase door rehane ki koshish na kar A SANAMJanate ho mujhase door rahana tumhari nadani haiApane Dil ke jajbaato ko kabhi juban bhi de do A JalimMujhase chhupana mere pyar ke sath beimaani haiMai hamesha Tumako isase bhi jyada hi chaahunga jaan loTum par mar mitane ki mere khun me rawaani haiSirf AAPKO chaha aur AAPKO pana hi mera maksad haiJisane pyar na paya woh Jawaani bhi kya Jawaani hai.

Sachai........Aur.....Dua

Rehti thi tum mere dil mein,
To phir main rat bhar jaagta kyon tha,
Sach to ye tha ki tum ek din chodogi saath mera,
To phir is sachhai se main bhaagta kyon tha,
Par tumhari judaai ka dard main seh nahi saka,
Dikhana main chahta nahi aur main keh bhi nahi saka,
Magar mujhse juda hone ke baad bhi tumhari zindagi ek khilta hua phool ho ban gayi,
To ye samajh lo ki tumse juda hokar bhi tumhe khush dekhne ki dua meri kabool ho gayi…….

Aye Mohabbat.....

Aye Mohabbat tere anjam se rona aaya.Jane kyun aaj tere naam se rona aya,
Yu to her sham umid me guzar jati hain.Aaj kuch baatein yaad aayi to sham pe rona aya.
Kabhi taqdir, kabhi matam,kabhi duniya ka gila,Manzil-e-ishq k har kaam pe rona aya.
Jab hua zamane me mohabat ka zikr.Mujhe apne dil-e-nakaam pe rona aya…

Musaafir......

Hoga Musafir Jo Jahan Me AayegaSafar Ka Jahan Muqaam Chor Jayega.
Iss Safar Me Hote Hain Sath Musafir BohutKoi Kisi Ke Sath Naa Aaya Jayega…….
Jayenge Yeh Doulat Yahan Chor Kar SaareJism Ko Sirf Do Gazz Kafan Pehnaya Jayega….
Sajaya Nahi Jayega Phir Heere Motiyoun SeZyada Se Zyada Haar-E-Gul Pehnaya Jayega…
Ek Hi Baat Hai Sachi Har DammRuhh Ka Sath Toh Rabb Hi Nibhayega.

Wo Bewafa kese hua?

Khatam apni chahton ka silsila kaise huaTu to mujh mein jazab tha mujh se juda kaise huaWo jo sirf tere aur mere darmiyan ek baat thiAao sochein shehar us se aashna kaise huaChubh gayin seeney mein tooti khawahishon ki kirchiyanKya likhun dil tootney ka haadsa kasie huaJo rang-e-jaan tha kabhi milta hai ab rukh phair karSochta hoon iss qadar wo bewafa kaise hua…

Shayariyan is Dil ke kareeb

Zindagi ke gam nasoor ban jaaye,
To muskurata hai kaun,
Jab dil me lage aag to,
Ise bujhata hai kaun.

Ishq ki chot ka kuch,
Dil par asar ho to sahi,
Dard kam ho ya jyada,
Magar ho to sahi.

Hame hi thi na koi baat,
Yaad na tumko aa sake,
Tune hame bhula diya magar,
Ham na tumhe bhula sake.

Aao ham tum o sanam,
Milkar ye vaada kare,
Tum mere dil me raho,
Mein tere dil me rahu.

Gam mila hai jo mujhe dil lagaane se,
Kya kahu mein is jamaane se,
Yaad aata hai jab vo pyaar ka vaada,
Ab mere hoth jalte hai muskurane se.

Zindagi ki raaho me yaaro,
Ranjogam ke mele hai,
Bheed hai kayamat ki aur,
Yaha ham akele hai.

Mil jaaye mujhe sukoon thoda,
Ek baar seene pe haath rakh de,
Tute hue dil ke tukde ko,
Tu jara ek saath rakh de.

Kisi kavi ki kalpna ho tum,
Khud ko bhool gaya vo nasha ho tum,
Ab hosh me aa jaau to behtar hai,
Sapna hi sahi magar apna ho tum.

Dil se nikali hai dua aajam sanam tere liye,
Tera gam mera sanam meri khushi ke liye,
Saans patjhad tere jeewan ka mujhe mil jaaye,
Teri har aarzoo maninde kali khil jaaye,
Tere ashko ka samundar meri aakhon ko mile,
Mere hotho ki ho saari hasi tere liye.

Mein to pahle aisa likhta nahi tha,
Dil me tha jakhm par dukhta nahi tha,
Mujhe jhukaya kisi ki bewafaai ne,
Varna kisi ke aage mein jhukta nahi tha.

Tere hotho se saawan barasta raha,
Jaam peene ko bhi mein tarasta raha,
Laal gaalon me laali umadti rahi,
Pyaar sarita me,
Mein dubta rah gaya.

Aisa nahi tumhe tanha chodenge ham,
Yuhi nahi zindagi se rishta todenge ham,
Ab maut bhi na juda kar paayegi hame,
Jaha teri saanse khatam vaha apni saanse todenge ham.

Aap bante sawarte bahut hai,
isliye log marte bahut hai,
Dosti hai hawaao se aapki,
phir bhi aansu bikharte bahut hai,
Chaand si jinki soorat hai,
husna par naaj karte bahut hai,
Jikra hota jinme aapka,
log aisi baate karte bahut hai.

Surkh hoth tapta badan in reshmi baalo se,
Rahna jara bach ke doston tum aise husna vaalo se,
Jab-jab adaao ke roop yu badalte hai,
Tab-tab hamaare ye armaan machalte hai.

Jaise tel ki jarurat hoti hai,
Chiraag jalaane ke liye,
Vaise pyaar bhi jaruri hai,
Zindagi chalaane ke liye.
Koi bhi deewana dil,
Ho jaayega bekaabu,
Dekhakar tumhaare in aakhon ka jaadu,
Hawaao me nahi kisi fizaao me nahi,
Jo tum me hai ada kisi adaao me nahi.
Na sir jhukakar padhana tum,
Na sir uthaakar padhana,
Meri is shaayari ko tum,
Seene se lagakar padhana.

Pahale inkaar phir ikaraar,
Aur ab pyaar ho gaya,
Jinako ham taraste the,
Unaka deedaar ho gaya.

Kab tak mein jeeu teri yaadon ke sahaare,
Ab nahi bas me kadam ye hamaare,
Subah ho ya shaam har pal ye dil,
Bas tera naam le-lekar pukaare.

Chaand ne chamakna chod diya,
Phulo ne mahakna chod diya,
Ruth gai chaman se bahaare bhi dekho,
Jab se tumane baagon me tahalna chod diya.

Phulon jaisa phulo tum aur,
Jhulon jaisa jhulo tum,
Magar yahi tamanna apni,
Mujhko nahi bhulo tum.

Aasmaan me jitane taare hai,
Koi gin nahi sakta,
Tum ab hamaari ho hamase,
Koi tumhe cheen nahi sakta.
Ham teri yaadon ko dil Ki dahleez par sajaayenge,
Agar dard bhi mile to Use sahkar muskaraayenge.

Shaayri padhkar jala dena tum,
Jalaakar raakh bana lena,
Jab hamaari yaad aaye tumhe,
Kaajal banakar laga dena.

Kabhi mujhko hasaati hai,
Kabhi mujhko roolaati hai,
Harpal mujhe ek ladki,
Yaaro bahut sataati hai.

Friday, July 17, 2009

Ehsaas…

Kab Ho Qubuliyat Ki Ghadi Naa JaaneTumhe Har Dua Me Maangna Chahta Hoon
Ho Jao Tum Mere Aur Mein Tumhara
Har Pal Bass Yahi Ehsaas Chahta
HoonTum Se Hi Ki Bass Mohabbat Mein Ne
Aapni Saari Zindagi Tumhare Sang Chahta Hoon
Karta Hoon Mein Aaj Ye Iqraar
Mein Tumhe Bass Tumhe Hi Chahta Hoon
Haqq Ke Sath Kahoun
Mein Tumhe Apna Tum Se Bas Mein Aaj Yahi Razaa Chahta Hoon…

Maan Janaa…

Yeh Baat Tum Ko Batana Bhool GayeHumne Mita Diya Jahan Bhi Likha Tha Naam TeraMagar Apne Dil Se Mitana Bhool GayeWoh Juda Hue Humse Muskurate HueMagar Apni Palkoun Se Aansoo Hatana Bhool GayeMein Apni Raatoun Ki Fursatoun Me Tujhe Manaoun Toh Maan JanaKisi Din Jo Mein Apne Aansoo Leke Aaoun Toh Maan JanaTu Khush Nahi Meri Baqa Par Toh Sirf Itna BataTeri Khushi Keliye Mein Sooli Pe Muskuraoun Toh Maan JanaTu Badguman Hai Meri Wafa Par Toh Sirf Ek Baar Aazma LenaJo Haar Jaoun Toh Lout Jana..Jo Jeet Jaoun Toh Maan Jana…

Kal Ho Naa Ho…

Zindagi Ke Har Lamhe Ko Jeelo Jee Bhar KeKya Pata Kal ko Ho Kisne Jaana……
Hum Hain Aaj Yahan ParKal Ho Na Ho Kisne Jaana…….
Tera Milna Aaj Khushi HaiKal Dukh Bann Jaye Kisne Jaana……
Tera Jaana Humari Badnaseebi HaiKisi Aur Ki Khushnaseebi Ho kisne Jaana……
Har Chehre Ko Dekhlo Jee BharkeKal Mile Naa Mile Kisne Jaana……
Karo Har Rishte Ki QadarKal Ho Naa Ho Kisne Jaana…….
Pyar Baant Sako Toh BaantloKal Tum Ho Naa Ho Kisne Jaana……

Honton Pe Hansi Dekh Li Dil ke Ander Nahi Dekha…

Honton Pe Hansi Dekh Li Dil ke Ander Nahi Dekha,Aap Ne Mere Gahmon ka Samunder Nahi Dekha,Kitni khoob Surat Hai ye Duniya ye Dekha hai Aap Ne,Jee Jee ke Marney Waloh ka Manzer Nahi Dekha,Sheeshay ka Makaan Tu Ne Bana to Liya Hai Dost,Lekin waqt ke Hath ka Pather Nahi Dekha,Rishton ke Tootney ka Dard Tum Kya Jano,Wo Lamha Tum Ne Kabhi Jee Kar Nahi Dekha,Bhatkey Roshni ki Talash Mein Na jane Kahan Kahan,Afsos ke Apni Rooh ke Ander Nahi Dekha…

Chehre Pe Khushi Hai Toh Kya Hua…

Chehre Pe Khushi Hai Toh Kya HuaDil Me Sab Se Chupa Kar Dard Jo Muskura DiyeUski Hansi Ne Toh Aaj Mujhe Rula DiyaLehje Se Uth Rahi Thi Ek Dard Ka DhuwaaChehre Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa DiyaAawaz Me Tehrao Tha Aankhoun Me Nami ThiAur Keh Rahi Thi Ki Mein Ne Sab Kuch Bhula DiyaJaane Kyun Usko Logoun Se Thi ShikayateinTanhaiyoun Ke Des Me Qud Ko Basaa Diya.

Hasarat

ab kaha rasm lutaane ki,
Barkaten thi sraab khaane ki,
Kaun hai jisse guftgu kije,
Jaan dene ki dil lagaane ki,
Baat chhedi to uth gayi mahafil,
Unse jo baat thi batane ki,
Saaz uthaya to tham gaya GUM-E-DIL,
Rah gayi aarju sunaane ki,
Chaand bhi aaj nikla nahi,
Kitani hasarat thi unke aane ki.

Khat

Sabse achhe khat wo nahi hote,
Jinki likhaawat sabse saaf hoti hai,
Jinki bhasha sabse khfeef hoti hai,
Wo sabse achche khat nahi hote.
Jinki likhawat chaahe gadda madda hoti hai,
Par padi jo saaf saaf jaati hai,
Sabse achhe khat wo hote hai,
JInki bhasha ubad khabad hoti hai,
Par bhagate bhagate bhi hum jinhe pad lete hain,
Jske shabd chahe dhunhdle ho,
Par jisse ek chehara saaf jhalakta hai,
Jo mil jaate hain samay se,
Aur milte hi jinhe pad liya jaata hai.
Wo khat sabse achhe nahi hote,
Sab ki nazar bacha jinhe hum chhupa dete hain,
Aur bhagate firte hain saare din unki khushi me,
Shaam lamp ki roshnime padhte hain jinhe.
Wo sabse achhe khat hote hain,
Jinke baare me hum jaante hain ki wo daale jaa chuke hain,
Aur jinka intazaar hota hain hume,
Aur jo kho jaate hain daak me,
Jinhe sapno me hi pad paate hain hum.
WO SABSE ACHHE KHAT HOTE HAI.

Zindagi ka Safar

Zindagi ki raftaar tez thi,
Jo sab chhod gujarti rahi,
Ya yun kahen ki Dheeme thi is kadar,
Na kuch wo paa saki,
Zindagi ke is safar me,
Har musaafir se dar kinaar,
har mod se nikal gayi,
Mil saka na hum safar,
Manjil tak jo pahuchaayega,
bas isi talaash me,
Gujartee chali gayi
Gujartee chali gayi
Gujartee chali gayi..................

Jaan

Kon kahta hai zindagi jaan se juda hoti hai,
Yha to jaan se zindagi saja karti hai,
jab nahi hoti hai jaan zindagi ke paas,
tabhi zindagi rusawa hua karti hai.

Akele the Akele rah Gaye

Aansu ke chand boondon se wo rishtaa humara tod gayeTanha chhod ke humein gumon ko humara keh gayeUnki ye anokhi aada kya thi hum ab tak na samajheAur dardon ke baarish mein hum the ki akele reh gaye.

UDAASI

Koi miltaa hi nahin humse hamara ban kar,Tum mile bhi to bohut duur kinara ban kar,
Har aik ummid nigahon se chhalak jaati hai,Unka har lafz aankhon se sharara ban kar,
Aur sab toot gayin cheezen khilono ki tarha,Ek yaaqin saath mein rehta hai sahara ban kar,
Tum rahoge is chhoti si zameen tak mehdud,Hum to chamkeinge aik roaz sitaraa bann kar,

Meri Zindagi

kitabon ke panno ko palat kar sochta hu,yu palat jaye zindagi to kya baat hai,
khwabon main roj milta hai jo,haqiqat main aaye to kya baat hai,
kuch matlab k liye dhundte hai mujhe,bina matlab aaye to kya baat hai,
katal kar ke to sab le jayenge dil mera,koi baaton se le jaye to kya baat hai,
jo sharifon ki sharafat main baat na ho,wo ek sharabi kah jaye to kya baat hai,
aapne rahne tak to khushi dunga sabko,jo kisi ko meri mout pe khushi mil jaye to kya baat hai.