Tuesday, February 2, 2010

Samay

Samay nirantar chalta jata
Samay nahi ruk pata hai
Achhe karm ka der se bhale
Achha fal mil jata hai

Bade se bade zakhm lage ho
Manab ke iss zivan me
Har pida har zakhm ko
Samay hi bhar pata hai

Bartman me samay sab kuch
Samay nahi to zivan kya ?
Zivan ke har pahlu me
Kaam samay hi aata hai

Samay ki kimat ko pahchno
Suno meri aawaz ko
Samay nilkal jaye to fir
Samay hath nahi aata hai

Samay ki sari baten mai
Thik Samay batlaunga
Samay izazat deta hai to
“HIMANSHU” kuch likh pata hai….

No comments:

Post a Comment