Monday, January 18, 2010

Tumse piya pyaar humne...

Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui
Apne hatho jahar khaya, bhul ye mujhse hui
Jan ke dushman ko ham jane ja kahte hain
Apna jan mal sab kuchh lutaya bhul ye mujhse hui
Teri har bat ka aitbar hamne kiya
Tune hi mere dile aashna ka khun kiya
Tere hi liye main jahan se takraya, bhul ye mujhse hui
Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai
Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah rahti hai
Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui
Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat
Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar
Uss Khuda ko chhod kar “Himanshu”
Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui.

No comments:

Post a Comment