Sunday, October 25, 2009

unko ye shikayat hai.........

Main bewafai par nahi likhta.
Aur mai sochta hoon ki maiUnki ruswai par nahi likhta.
Khud Apne se zyada bura,
Is Zamane mai kaun hai.
MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.
Kuch to aadat se majboor hai
Aur kuch fitraton ki pasand hai
Zakham kitne bhi gahre ho
Main unki duhai par nahi likhta
Duniya ka kya hai,
Har haal mai ilzaam lagati hai.
Varna kya baat ki
Mai apni safai par nahi likhta
Shan-e-Amiron par karu kuch arz,
Magar ek rukawat hai Mere usool ke,
Main gunahon ki kamai par nahi likhta
Uski taqat ka nasha ,
mantra aur kalme” mai barabar hai.Mere dosto,
Main mazhab ki ladai par nahi likhta.
samundar ko parkhne ka,
Mera nazariya hi alag hai yaaro.
Mizazon par likhta hoon,
Main uski gahrai par nahi likhta.
Paraye dard ko mai gazlon mai,
Mahsoos karta hoon.
Yeh sach hai mai ,sazar se fal” ki judai par nahi likhta.
Tazurba teri muhabbat ka,
Na likhne ki bajah bas ye hai..
Ki Shayar ishq mai,Khud apni tabahi par nahi likhta

No comments:

Post a Comment